Main hoon ek abhagi aurat
Aaj nahi kal mar jaaongi
Chote se sheher mein janmi thi main
Rani rani kehte the sab
Sheher mein sab se oonchi thi main
Hara bhara mujhe dikhta tha jag
Aasman ko choona hai
Yeh chaah thi meri bachpan tak
Par ab soona soona jivan
Lage ki dharti bhi begani
Chale gaye who bachpan ke din
Beet gayi rangeen jawani
Ab hai toota phoota jivan
Marne ki nazdik nishani
Sheeshe se shaji imaroton ke beech
Main boodhi aur bimar ho gayi
Girkar ho jane ko khaak
Akhir main taiyaar ho gayi