Hum hi hain nirmaan ke tatva,
Lekin aaj kho raha hai hamara astitva.
Nahi rahi ab hamari shaan,
Logon ne chhod diya hai humse lena kaam.
Jis jagah ne hume di panah,
Wahin ho gaye hum fanaa.
Gine chune wastukaron ke beech reh gaye hum,
Jinhe hamari kadr hai aur hume samajhte hai kisi se na kam.
Jindagi mein khaya humne aisa dhoka,
Ki apno ne hume badhne se roka.
Naye yug ke badalte hue wesh,
Dar hai khatam na ho jaye hamare avshesh.
Author’s Note: All traditional and cultural values in architecture are being left behind. People are more into aesthetic rather than being rational, so are the architects. In the process of beautifying the world the beauty of the past is fading away and soon it will be lost.